1. ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota agar aur jeete rehte yahee intezaar hota [ wisaal-e-yaar = meeting with lover ]

2. tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa ke KHushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota [ 'eitabaar = trust/confidence ]

3. teree naazukee se jaana ki bandha tha 'ehed_booda kabhee too na toD sakta agar oostuwaar hota [ 'ehed = oath, oostuwaar = firm/determined ]


4. koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko ye KHalish kahaaN se hotee jo jigar ke paar hota [ teer-e-neemkash = half drawn arrow, KHalish = pain ] 5. ye kahaaN ki dostee hai ke bane haiN dost naaseh koee chaarasaaz hota, koee GHamgusaar hota [ naaseh = councellor, chaarasaaz = healer, GHamgusaar = sympathizer ]

6. rag-e-sang se Tapakta wo lahoo ki fir na thamta jise GHam samajh rahe ho, ye agar sharaar hota [ rag = nerve, sang = stone, sharaar = flash/gleam ] 7. GHam agarche jaaN_gulis hai, pe kahaaN bachaiN ke dil hai GHam-e-ishq gar na hota, GHam-e-rozgaar hota [ jaaN_gulis = life threatning ]

8. kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota 9. hue mar ke ham jo ruswa, hue kyoN na GHarq-e-dariya na kabhee janaaza uThata, na kaheeN mazaar hota [ GHarq = drown/sink ]

10. use; kauN dekh sakta ki yagaana hai wo yaktaa jo dooee ki boo bhee hotee to kaheeN do chaar hota [ yagaana = kinsman, yaktaa = matchless/incomparable, dooee = duality ]

11. ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaaN 'GHalib' ! tujhe ham walee samajhate, jo na baada_KHwaar hota [ masaail = topics, tasawwuf = mysticism, walee = prince/friend, baada_KHwaar = boozer ]