1. dard minnat_kash-e-dawa na huaa maiN na achchaa huaa, bura na huaa [ minnat_kash-e-dawa = obliged to medicine ]



 2. jama'a karate ho kyoN raqeeboN ka ? ik tamaasha huaa gila na huaa [ raqeeb = opponent, gila = complaint ]


 3. ham kahaaN qismat aazmaane jaayaiN ? too hee jab KHanjar aazma na huaa 


 4. kitne sheereeN haiN tere lab ! ki raqeeb gaaliyaaN khaake be_maza na huaa [ sheereeN = sweet ] 


 5. hai KHabar garm unke aane kee aaj hee ghar meiN boriya na huaa ! [ boriya = mat, here it refers to groceries ]


 6. kya woh namrood kee KHudaaee thee bandagee meiN tera bhala na huaa [ namrood = an old king who used to say that he was god ] 


7. jaan dee, dee huee usee ki thee haq to ye hai ke haq adaa na huaa 


 8. zaKHm gar dab gaya, lahoo na thama kaam gar ruk gaya rawa na huaa [ rawa = right/lawful ] 


 9. rahzanee hai ki dil_sitaanee hai ? leke dil, dil_sitaaN rawa na huaa [ dil_sitaaN = lover, rawa = agree/admissible ] 10. kuchch to paDhiye ki log kehte haiN "aaj 'GHalib' GHazalsara na huaa"