1. 'arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil naheeN raha jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha [ niyaaz = desire/an offering ] 

 2. jaata hooN daaGH-e-hasarat-e-hastee liye hue hooN shamma'a_kushta darKHur-e-mehfil naheeN raha [ hastee = life/existence, shamma'a_kushta = extinguished lamp, darKHur = worthy ]

 3. marne ki 'ei dil aur hee tadabeer kar ki maiN shaayaan-e-dast-o-baazu-e-qaatil naheeN rahaa [ tadabeer = solution/remedy, shaayaan = worthy, dast = hand, baazoo = shoulder ]

 4. bararoo-e-shash jihat dar-e-aaina_baaz hai yaaN imtiaz-e-naakis-o-qaamil naheeN rahaa [ bararoo = in front, shash = six, jihat = direction, imtiaz = distinction, naakis = cunning, qaamil = intelligent ]

 5. waa kar diye haiN shauq ne band-e-naqaab-e-husn GHair_az nigaah ab koee haayal naheeN raha [ waa = open, GHair_az = other than, haayal = obstacle ] 

 6. go maiN raha, rahee na sitam haaye rozgaar lekin tere KHayaal se GHaafil naheeN raha [ sitam = oppression, GHaafil = unaware/careless ]

 7. dil se hawa-e-kisht-e-wafa miT gayee ki waaN haasil siwaay hasrat-e-haasil naheeN raha 8. bedaad-e-ishq se naheeN Darta magar 'Asad' jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha [ bedaad = injustice