1. aah ko chaahiye ik 'umr asar hone tak kaun jeeta hai teree zulf ke sar hone tak ? 


2. daam har mauj meiN hai halqa-e-sad_kaam-e-nahaNg dekhaiN kya guzre hai qatre pe guhar hone tak [ daam = net/trap, mauj = wave, halqa = ring/circle, sad = hundred, nahaNg = crocadile, sad_kaam-e-nahaNg = crocadile with a hundred jaws, guhar = pearl ]


 3. aashiqee sabr talab aur tamanna betaab dil ka kya rang karooN KHoon-e-jigar hone tak ? [ sabr = patience, talab = search ]


 4. ham ne maana ke taGHaful na karoge, lekin KHaak ho jaayeNge ham tumko KHabar hone tak [ taGHaful = neglect/ignore ]


 5. partav-e-khur se hai shabnam ko fana'a ki taaleem maiN bhee hooN ik inaayat ki nazar hone tak [ partav-e-khur = sun's reflection/light/image, shabnam = dew, fana'a = mortality, inaayat = favour ] 


 6. yak_nazar besh naheeN fursat-e-hastee GHaafil garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak [ besh = too much/lots, fursat-e-hastee = duration of life, GHaafil = careless, raqs = dance, sharar = flash/fire ]


 7. GHam-e-hastee ka 'Asad' kis'se ho juz marg ilaaz shamma'a har rang meiN jaltee hai sahar hone tak [ hastee = life/existence, juz = other than, marg = death, sahar = morning ]